Saturday, October 27, 2012

Aankh Ne Raat Jab Ik Chaand Mukamal Dekha

Aankh ne raat jab ik chaand mukamal dekha, 
Phir samandar ko bhi hote huye pagal dekha,

Raat bhar der talak ki teri batain khud se, 
Raat bhar samne chehra tera pal pal dekha, 

Aaj yaadon ki ghataa toot ke barsi dil par,
Aaj hum ne bhi barasta hua badal dekha,

Hafizaa cheen liya hum se gham-e-dunya ne, 
Aaj hum bhool gaye us ko jisey kal dekha,

Baandh ke dekh li paayel bhi sar-e-bazm tarb
Phir bhi  behlaa na kabhi dil ka ajab chal dekha, 

Aik larki thi tabasum ke bohat hansti thi, 
Us ki aankhon se bhi behta hua kaajal dekha..