Haam
Main Ghareeb ka beta hoon
Main Ghareeb ka beta hoon
Zindagi ko sitam main kehta hoon
Mujbooriyon me bhi khush rehta hoon
Chand boondon se pait bhar leta hoon
Kyun ke main ghareeb ka beta hoon
Thandi mein thithoor leta hoon
Barsaat mein bheeg leta hoon
Garmi paaon jalaati hai toh
Pathron main so leta hoon
Kyun ke main ghareeb ka beta hoon
Kabhi sabzi , to kabhi kuch na milay,
Namak ,roti pe main jee leta hoon
Zakham chahay jaisa bhi ho,
Thori haldi main laga leta hoon
Kyun ke main ghareeb ka beta hoon
Eik kameez, eik patloon,
Roz bina sabun, main dhota hoon
Bari dukaano ki ronak dekh,
Aksar khuch main ho leta hoon
Kyun ke main ghareeb ka beta hoon
Gham bhi bohat hai dard bhi hai
Dil main sab dabaa leta hoon
Kabhi akelay to kabhi sab k samnay
Ankhon se angootha bhigo leta hoon
Kyun ke main Ghareeb ka beta hoon