Zindagi mein baatein bahut kar liye
Sun liye hai zawab bhi? kabhi dosto se, kabhi dushmano se,
Lavso ke is bhair mein ghutan si hoti hai ab to
Mujhe sannata chahiye?
is liye khamoshi se dosti kar liye
Baaton ki tanashahi bardasht karne ki taaqat na rahi
Viraane mein sar chupane ki jagah chahiye
Alfaazon ki koi matlab hi nahi milta
Isliye khamoshi se dosti kar liye
Rahegi tamannaye,tamannaye to rahti hai
Par halaat yeh hai ki ab saare hosh o hawas kho chuke
Is bedardi ko kab tak jhel sakti hai yeh dil dimaag
Armaano se tang aa chuke hai hum bhi
Isliye khamoshi se dosti kar liye
Musquraahaton se roshan hoti rahegi yeh duniya
Mujhe roshniyon se dar lagne laga hai
Mujhe andera chahiye
Isliye khamoshi se dosti kar liye