Saaqiyah meiney deykhee hai wo raah bhi
Jis pai reig-e-rawaaz thee,na they naqsh-e-paa
Koyee bhi, saath jis key,fasanah na tha
Baad-e-sarsar thee,baad-e-khizaan sirf yaa
Fir bhi,raah-e-talab kaa diwaanah tha mein
Aur,wasl-e-sanam keen umeedeyn jawaan
Mujh ko,aagey badhaaney ko,purjoch theen
Ab tah-e-jaw hoon,lekin akela naheen