Itna toota hoon ke choone se bikhar jaaounga
Ab ager aur dua doge to mar jaaoonga
Lekar mera pata waqt raayaga na karo
Main to banjaara hoon kya jaane kidhar jaaonga
Is taraf dhoond hai jugnu,na charaag koi
Kaun pehchaanega basti mein agar jaaonga
Zindagi ,main bhi musafir hoon,teri kashti ka
Tu jahaan mujhse Khaega main utar jaaonga
Jahaan reh jaayenge gulaadon mein yaadon ki nazar
Main to khushboo hoon fizaaon mein bhikhar jaaoonga