Wednesday, August 29, 2012

Chaltey Bahaar Aatee Hai

Sadaa-e-yaar key chaltey bahaar aate hai
Zarrey-zarrey mein eik andaleeb gaatee hai

Dil-o-dimaag mein kuch goonjata hai rah-rah kar
Rooh ko rooh,na jaaney kahaan bulaate hai