Tuesday, August 28, 2012

Aasman Sumjh Main Nahi Aata

Kabhi jami kabhi aasman samjh main nahi aata
Is dil ka thikana bhi sumjh main nahi aata

Meri aankhein uski yaadon ke charag to nahi
Kyun aaye bus wo hi nazer samajh main nahi aata

Chahe anchahe main use yaad kiya karta hun
Ye lat hai aadaat samajh main nahi aata

Kamabakhat aashiqi ne jeena haram ker diya
Use bhuloo ya apni jaan dun samajh mein nahi ata

Is taraf mere gher hai us taraf uska ghar
Idher jaun ya udher samajh main nahi ata

pagal se banke reh gaya kuch soch soch kar
Pehle hasun ya roun samajh mein nahi ata

Lifafa fat chuka majmoon bhi kafi purana ho gaya
Use dun ya khat jala dun samajh mein nahi aata

Uski wafa pe ab mujhe shaq hone laga hai
Use yaar kahun ya Gardar samajh mein nahi ata

Raqeebon ke sath baithe hain ajeej-o-mohatrim
Kaise karun salam samajh mein nahi ata

Samjhale dil ko mastghan kuch aur na samajh
Phr khud samajh jayega jo samajh main nahi ata