Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya
Woh shaks aisa gaya phr nazar nahee aya
Wafa ke dasht mein raasta nahee mila koi
Siwaye gard-e-safar humsafar nahee aya
Kisi chiraag ne poochi nahe khabar meri
Koi bhi phool mere naam per nahee aaya
Pallat ker aane lagay shaam ke parnday bhi
Hamara subha ka bhoola magar nahee aaya
Humein yakeen hai zahid woh wada khilaaf
Yeh umer kaise kategi agar nahee aaya...