Jo zakham tu ney diya thay woh bhertay jatay hain
Charhay hoay thay jo dariya utartay jatay hain
Yeh ahel-e-shahr-e-wafa hain ajab bahar parust
sarooo kay phool faseelo,n pay dhertay jatay hain
nahi hai aur tu kuch bhi hamaray hatoo,n main
siva-ye-arz-e-tamman na so kertay jata hain
Ajeeb loog hain, yeh ahel-e-intezaar kay jo
Khud apni aag main jul kar sa,n wertay jatay hain
najanay kaun si basti kay hain ye bashindey
nazar uthatey nahi aur guzertay jatay hain
yeh aaj shaher pay utri hay kis bala ki raat
charaagh apni lawoo,n say mukertay jatay hain
darakht shaam ko lagtay hain shaher say zahid
kay shaakh shaakh parinday utartay jatay hain