Thursday, July 26, 2012

Bhula Dijiyey Mujhay

Mumkin ho aap se tuo bhula dijiyey mujhay
Pathar pe hoon lakeer ,mita dijiyey mujhey

Hur rooz mujh se taaza shikayat hai aap ko
Main kia hoon , aik baar bata dijiyey mujhey

Mere siwa bhi hai koi mozoo-e-guftugu
Apna bhi koi rang dekha dijiyey mujhay

Main kia hoon kis jagah hoon mujhay kuch khabar nahin
Hain aap kitni dur zara sada dijiyey mujhey

Ki main ne apne zakham ki tash heer ja baja
Hum mantey hein jurm saza dijiyey mujhay

Qaim tou ho sakey koi rishta ap key saath
Gehre samandaroon main dijiyey mujhay

Shab bhar kiran kiran ko tarasney se faida
Hai tarigi tou aag laga dijiyey mujhey

Jaltey dinoon main khud pass deewar baith kar
Saaye ki justuju main laga dijiyey mujhey

Youn tou shoola-e-sard ho chuka
lakin sulag uthoon tou hawa dijiyey mujhay