Suna hay barsih usay bhi pasand hay
Wo bhi meri tarhan barasti hundon ko hathon may samayt leti hay
Suna hay phool usay bhi pasand hain
Wo bhi meri tarhan phoolon say ghanton batain kari rehti hay
suna hai chand usay bhi pasand hay
Wo bhi meri tarhan raat raat bhar usay takti rehti hay
Suna hai tanhai usay bhi pasand hay
Wo bhi meri tarhan???
Par wo tanha beth kar kis ko sochti hai?
Sari batain sabhi hain magar
Ye bhi sach hay
Main jo uss k baray may har baat ki khabar rakhta hon
Main jo uss k baray may har baat ki khabar rakhta hon
Ye bhi janta hon k uss ki sochon ka mahwar main nahi