Ajab halat thay meray ajab din raat thay meray
Magar mai mutmaien tha, ke tum sath thay meray
Meray zar k talabgaron ki nazrain uthti thein
K lakhon ungalian thein aur hazaron hath thay meray
Mai ik pathar ka gard alood buot tha un k mandar mai
Na dil tha meray seenay mai na kuch jazbaat thay meray
Kisi se aur kia taiyeed ki umeed mai rakhta
Wohi khamoosh thay jo mehram-e-halat thay meray
Mai jin shalon main jalta tha sayey tum bhi na samjhay
Mera dil mukhralif tha, mukhtalif sadmat thay meray
Mujhey mujrim bana k rakh dia jhootay gawahoon nai
Sabi rad ho gayey jitnay bhi ilzamat thay meray
Tasawor ban geua taseer akhir din woh
Isi ka Khoaf tha mujh ko yehi khadshat thay meray