Pher Lete Hain Nazr Jis Waqt Bety aur Bahu
Ajnabi Apny Hi Ghar Main Haye Ban Jati Hai Maan
Hum Ne Ye Bhi To Nai Socha Alag Hony K Baad
Jab Diya Hi Kuch Nai Hum Ne to Kya Khati Hai Maan
Zabt to Dekho Ke Itni Be-Rukhi Ke Bawajood
Bad-Dua Deti Hai Hazgiz aur Na Pachtati Hai Maan
Saal Bhar Main Ya Kabhi Hafty Main Jume-rat Ko
Zindagi Bhar Ka Sila Ek Fateha Paati Hai Maan
Usne Dunya Ko Diye Masoom Rehbar Is Liye
Azmaton Main Saani-e-Quran Kehlati Hai Maan
Baad Mar Jaany K Phir Bety Ki Khidmat K Liye
Bhes Beti Ka Badal Kr Ghar Main Aajati Hai Maan