Monday, June 25, 2012

Nawaasa Rasool to saarey jahan ka hai

Naa Shiyon ka hai , na suniyon ka hai,
Nawaasa Rasool to saarey jahaan ka hai

Na jhukaya sar pal bhar ke liye yazeed ke samne.
Salaam tujh par aye hussain sarey jahan ka hai

Bachaya jis deen ko bari qurbaani de kar
Aaj wohi deen-e- mohammadi sarey jahan ka hai,

Band kariya jis darya ke pani ko,
Qasoorwaar wohi firaat sarey jaha ka hai