Thursday, June 28, 2012

Garmi sardi ka ehsaas badan per rehne do

Garmi sardi ka ehsaas badan par rehne do,
Apne mann ko tann ki sab takleefain sehne do,

Apne kaanon ko sab shor sharba sun ne do,
Apni zubaan ko saari sachi batain kehne do,

Apni aankh ke chashme mein sab manzar behnedo,
Palkon ki is raah ke sarey kaantey chun ne do,

Apni zaat ke pathreeley our banjar -pan mein saad,
Umeedon ka garam aor meetha chashma behne do...