Dasht-o-Darya se guzarna ho ke ghar mein rehna
Ab Tou har haal mein hai ham ko safar mein rehna
Dil ko har pal kisi jaadu ke Asar mein rehna
Khud se niklay tou kisi Aur ke dar mein rehna
Sheher-e-gham !Dekh, teri Aab-o-hawaa khushk naho
Raas aata hai Ose deeda-e-tar mein rehna
Faisalay saaray osi ke hain hmaari baabat
Ikhtiyaar Apna bas itna ke khabar mein rehba
tootna Yun tou Muqaddar hai magar kuch lamhay
phool ki tarah mayassar ho shajar mein rehna
Taayir-e-jaan ke guzarnay se badaa saaneha hai
shoq-e-parwaaz ka tootay howay par mein rehna
Dillagi |