Monday, May 28, 2012

Yaad Aata hai roz-o-shab koi

Yaad Aata hai roz-o-shab koi
Hum se rootha hai be-sababkoi

Lab-e-jo chaon main darakhton ki
 Wo mulaaqaat thi Ajab koi

Jab tujhe pehli baar dekha tha
wo bhee tha mausam-e-tarb koi

kuch khabar le kar teri mehfil se
Door betha hai jaan-e-balab koi

Na gham-e-zindagi Na dard-e-firaaq
Din mein yunhi si hai talab koi

Yaad Aati hai door ki baatain 
ptaar se dekhta hai jab koi

chout khaayi hai baar-haa laikin
Aaj tou dard hai ajab koi

Jin ko mitna tha mit chukay zahid
Un ko Ruswa karay na ab koi.!