Monday, May 28, 2012

Maangay Hai Mujhse Dil Teri Saari Nishaanian

Maangay Hai Mujhse dil tari saari nishaanian
Baatain puraanian wohi raatain suhaanian

un per tou farz hain mere harfon ke zaaiqay
Ab jin ko aagayein badi baatain bananian

Ay ishq aa phr se koi tajurva karain
Main bhoolnay laga hub puraani kahanian

Wo tere qehqahay thay ke jaisay hujoom main
tootain kalaion main khanakti kamaanian

Yemere ashq hain ke paharon main jis tarah
Royein basant rut main nadi ki rawaanian

Maango dua ke khelti khilti rahain sadaa
Sheheron ki dulhanain meri basti ki raanian

Zahid ko kuch tou had-e-sitam ka suraagh de
Kab Tak raqam karuun main teri meherbaanian