Saturday, November 14, 2015

Ghazal

Tere hi khayal main raat guzar jati hai 
Bebasi k haal mai9n raat guzar jati hai 

Tu mujhay yaad karta hai k nahi 
Isi sawal main raat guzar jati hai 

Tere chehre ka aks zehen main banata hoon 
Taswr-e-Hilaal main raat guzar jati hai 

Tumhain chaand kahoon ya chaand jesa kahun 
Sochon k jaal main raat guzar jati hai 

Kaash k tu har wqt mere sath rahe 
Khwahish e kamal mainy raat guzar jati hai