Wednesday, November 14, 2012

Meri Hasrat K Janazy Ko Uthany Waly

Meri hasrat k janazy ko uthany waly
Kitny be dard hain ye log zamany waly 

Koi apna nahi matlab ki hai duniya sari 
Ab kahan milty hain wo yaar purany waly 

Main dua go hoon sada neendain hon mubarik tujh ko 
Hijar ka dard mujhe de k jagany waly 

Bas yehi soch k har bar manata hon usay 
Lot k aaty nahi rooth k jany waly 

Hamary dil main kabhi jhank k daikho to sahi 
Kitny afsurda hain auron ko hansany waly...