Yad karke mujhe taklif he hoti hogi,
Aik qisa hoon purana sa bhula de mujhko
Doobte doobte awaz teri sun jaun,
Akhri baar tu sahil se sada de mujhko
main tere hijr main chup chaap na mar jaun kahin,
Main hoon sakte main kabhi aake rula de mujhko
Dekh main hogaya badnam kitabon ki tarah
Meri tasheer na kar ab tu jala de mujhko
Rathna tera meri jaan lie jata hai
Aese nazar na ho hoske dikhade mujhko.
Aur kuch bhi nahi manga mere malik tujhe
Uski galion main pari khak banade mujhko
Log kehte hain ke ye ishq niga jata hai
main bhi is ishq main aya hun dua de mujhko
Yahi oqat hai meri tere jeevan main ke main
Koi kamzor sa lamha hun bhulade mujhko,