Khushbu'on ke nazool jesa tha
Woh jo ik shakhs phool jesa tha
Hum zamaney ko le ker kya kartey
Us ke qadmon ki dhool jesa tha
Main usey bhool hi nahin paati
Woh meri pehli bhool jesa tha
Us ko paana to yun bhi mushkil tha
Apna apne khasool jesa tha
Sofia main bhi thi anaa ki tarah
Woh bhi apne asool jesa tha...