Hua jo kuch bhulana chahiye tha,
Usey ab laut aana chahiye tha,
Ye saara bojh mere sir pe kiyon hai
Usay bhi gham uthana chahiye tha,
Kis qadar guroor tha mujhe us per
Pyaar se beth kar manaana chahiye tha,
Mujhe paa kar usey kya chain milta
Jisey saara zamaana chahiye tha..