Usay bhula doon, magar hosla kahaan mujh mein
Woh mere khoon ki tarah hai rawaan dawaan mujh mein,
Yeh be sabab to nahi mujh men girya-o-zaari
Koi to rehta hai har waqt noha khwaan mujh mein
Bas ek zalzala aaya tha aur guzar bhi giya
Magar woh chor giya hai kai nishaan mejh mein
Azeez itna bhi kiyon hai sakoot-e-shaam-e-alam
Kahaan se aaie hain itni udasiyan mujh mein
Kabhi main dard k darya main doob jata hoon
Kabhi yeh dard uatarta hai meri jan mujh mein
Ye kon baant giya mujh mein ronaqain apni
Yeh kon kar gya abaad ek jahaan mujh mein
Main jab bhi haath barhane lagta hoon gulon ki taraf
To urne lagti hain Shamsheer titliyaan mujh mein