Teri muthi mein meri zindagi hai,
Meri aankhon mein teri roshni hai
Sar-e-shaam firaaqe jane janaa,
Ke jese rooh sholon mein jali hai
Tumhare sath bhi thi be-sakooni,
Tumhare baad bhi be-kali hai
Datte hain apni apni zidpe dono,
Anna raah mein deewaar si khari hai
Mohabbat ki hai bas itni kahani,
Safar asaan hai,manzil karri hai...