Muddat se jis k waastey dil beqarar tha
Wo lout kr na aya magr intzaar tha,
Jo humsafar tha chor gaya raah mein mujhe
Mai phas gaya bhanwar main or wo darya k paar tha,
Manzil qareeb aai to tum door ho gaye
Itna tou tum batao k ye kaisa pyaar tha
Deewar bana di ye kis ne dono k darmyan,
Na wo sukon se betha na mujhko qarar tha
Ye baat umer bhar samajh na paya Mohsin
Kiun dil mera us wafadr ka talbgar tha...