Jisay aks aks ganva diya,
Kabhi rubaru thi mere liye,
Jisay naqsh naqsh bhujha diya
Kabhi char-su thi mere liye
jo had e hawa say bhi dor hai
Kabhi kubaku thi mere liye
Jo topish hai moj e sarab ki
kabhi aabju thi mere liye
Jisay aap likhta hoon khat main ab
kabhi sirf tu thi mere liye..