Sunday, November 04, 2012

Chalo Phir Dhoond Lein,Usi Masoom Bachpan Ko..

Chalo phr dhoond lein hum
Usi masoom bachpan ko

Unhi masoom khushiyon ko 
Unhi rangeen lamhon ko 

Jaha ghum ka pata na tha 
Jaha dukh ki samjh na thi 

Jahan bus mukurahat thi 
Baharein hi baharein thi 

Chalo phr dhond laein hum 
Usi masoom bachpan ko 

K jab sawan barasta tha
To us kaghaz ki kashti ko 

Bana'na aur duba dena 
Boht acha sa lagta tha 

Aur is duniya ka hr chehra 
Boht socha sa lagta tha