Showing posts with label ghazal. Show all posts
Showing posts with label ghazal. Show all posts

Thursday, July 30, 2020

Eik Baat Kahun Sahib

Kuch sumjhey to eik baat kahun
                       Sahib
Tanhai so guna behtar ha mtlbi logo se

Friday, June 21, 2019

Kadar

Sekh jao kisi ki chahat ki kadar karna
Kahi koi mar hi na jaaye tumhe ehsaas dilate dilate

Sunday, November 22, 2015

Khuwab

janey ketny hi khuwab dafna chuka hun is dil main 
Ab to lagta hai jesy khud hi ek qabrastan hun main 

Saturday, November 21, 2015

Etnay Bhi Nadan Nahin Hum

Etnay bhi nadan nahin hum , hum ko parhna ata hai 
Kon sa lehja dil ki dunya kon sa dunya dari hai 

Rabta

Tot jata hai wasta khud se 
Tujh se jab rabta nahin hota 

Rab-e-Qareem

Meri toti photi abadton ko esy kr qabol Rab e qareem 
K sajday main jukon to mujh se jary hur reshty ki zindagi sanwar jaye 

Mati Se Phr Mati Par

Mati se phr mati par aur phr mati main 
Sumjh gaye ho to chor do na magrori 

Friday, November 20, 2015

Ossy Kehna

Ossy kehna ye tum hi thy jiss se hum ko mohabbat ho gai 
!,,,Naz,,,!
Warna hum khud hi ghulab hein kisi khushboo ki tamanna nahi karty

Thursday, November 19, 2015

Aeen Ka Mun

Aeen ka mun khula hai jaiese naghan ka nashta 
Sheen k nuqty keh rahe hain ishq na karna Khuda ka wasta 

Aeen ki gholai main jo phas gya 
usy milta nahi phr baghny ka rasta 

Allama Iqbal

Jab ishq sekhata hai adabe khud aghahi 
Khelty hain ghulamon par asrare shehnshahi 

Pakr K Hath

Pakr k hath us ny hath main ghar se nikala hai 
Pakr k hath jis ko hath main chalna sekhaya tha 

Sunday, November 15, 2015

Muskurahat

Me tere lab pe cha jaon ga muskurahat ki tarah
Apne honton se mera naam bula kar to dekh

Saturday, November 14, 2015

Dokha

Mujh ko dokha de gaya mera zoq-e-intkhaab
!,,,Jani,,,!
Dar-haqiqat jo log merey na thay mujhay wohi achay lagay

Dard-E-Judai

Lambi raat tumhari yaad aur ye neend ka bojh
!,,,Dard-e-judai ki kasam,,,!
Mohabbat na karty to kab k so chukay hote

Yaad

Aaj aai ha meri yaad usy
Zarur kisi ne thukraya hoga

Friday, November 13, 2015

Mohabbat Ho Gai

Ossay kehna ye tum hi thay jis se hum ko mohabbat ho gai 
...Naz..
Warna hum khud hi gulaab hain kisi khushboo ki tamanna nahi karty

Thursday, November 12, 2015

Ghazal

Usne chaha to chahton ki hadon se barh kar 
Kehti thi hath na chorna tufano se dar kar 

Phr khud hi torgai wo taalluq e zindagi k ik moar par 
aaj mene pucha to kehti hai wo lamha tha jo guzar gya kinaron ko tor kr 

khud he ro pari wo ek zindagi k mor par
 or keh gai tum kisi ur ke ho jao mujhe chor kr

Me hasrat se dekhta raha usay apne hathon ko jor kar 
Ur wo chal pari meri wafaon ko chor kar 

Magr me kronga intezar un lamhaat ko phir se jor kr 
Kbi to hoga usay b ye ehsas k kisi ne chaha tha usay dunya ko chor kr

Tuesday, November 10, 2015

Izhar-e-Mohabbat

hum itna ziada izhar e muhabbat is liye ni karty
...Wasi...
suna hai barsny k bd baadlon ki ehmiyat nahi rehti

Monday, November 09, 2015

Mujh Se Ye Iqrar

mujh se apna pyar kabhi wapis mat lena 
mujh se ye iqrar kabhi wapis mat lena 

kehte rehna hur pal mujh ko main tera hun 
mujh se ye izhaar  kabhi wapis mat lena 

sajte rehna jhomr ban kar maathe par 
mujh se ye singhar kabhi wapis mat lena 

dil main aag lagae rakhna chahat ki 
mujh se ye anghar kabhi wapis mat lena 

ankhein roshin rakhna apni yaadon se 
mujh se ye didaar kabhi wapis mat lena 

khushbo ban kar basna mere tal man mein 
mujh se yye mehkar kabhi wapis mat lena 

phool sajae rakhna mere anghan main 
mujh se ye gulzar kabhi wapis mat lena 

Wednesday, April 01, 2015

Aap ko chehre se bhi beemaar hona chahye

Aap ko chehre se bhi beemar hona chahye
Ishq hai tou ishq ka izhar hona chahye

Aap dariyaa hein tou phir iss waqt khatre mein hein 
Aap kashti hain to hum paar hona chahye

Aire gaire log bhi parhne lage hein in dinoo 
Aap ko aurat nahi akhbar hona chahye

Zindagi to kab talak dar dar phirayegi humen
Toota phoota hi sahi ghar bhar hona chaye

Apni yadon se kaho ik din ki chhutti de mujhe
Ishq ke hisse mein bhi itvaar hona chahye.....