Showing posts with label URDO POETRY. Show all posts
Showing posts with label URDO POETRY. Show all posts

Tuesday, June 25, 2013

Dosto Ek Mashwra Chahiye Tha

Dosto Ek Mashwra Chahye Tha
Dil Tora Hai Ek Bewafa Ne 
Ab Jan Doun Ya Jane Do 

Friday, June 08, 2012

Dasht-o-Darya se guzarna ho ke ghar mein rehna

Dasht-o-Darya se guzarna ho ke ghar mein rehna
Ab Tou har haal mein hai ham ko safar mein rehna

Dil ko har pal kisi jaadu ke Asar mein rehna
Khud se niklay tou kisi Aur ke dar mein rehna

Sheher-e-gham !Dekh, teri Aab-o-hawaa khushk naho
Raas aata hai Ose deeda-e-tar mein rehna

Faisalay saaray osi ke hain hmaari baabat
Ikhtiyaar Apna bas itna ke khabar mein rehba

tootna Yun tou Muqaddar hai magar kuch lamhay
phool ki tarah mayassar ho shajar mein rehna

Taayir-e-jaan ke guzarnay se badaa saaneha hai
shoq-e-parwaaz ka tootay howay par mein rehna
Dillagi

Monday, May 28, 2012

Ye waqt bhi kya kamal hai

Ye waqt bhi kya kamal hai,
Tum jo bhul gayi mere haaton me vo hi rumaal hai,

Ke raat mein tumhara hi khayal hai,
Kya batao ki kya mera hall hai,

Phir sapna mai vo hi sawal hai,
kya ayegi wo milne mujhe,
Ya fir ye koi resham ka jaal hai,

Ab jo bhi ho tum,
Lagti ho bemisaal hai,

Pyaar me yun hum masgool huye,
Ke rahon me phoolon se malamal hai,

Rukavat baneke koi aaye ager bichmain
To sumjo vo mere haaton hallal hai..!

Mahobbat me kuch is tarah wafa karu

Mohabbat me kuch is tara wafa karu,
Woh bhul b jai to me yaad karu

Mahobbat ne bas itna sikhaya he mujhe,
K khud se pehle unke liye dua karo....!

Yaad Aata hai roz-o-shab koi

Yaad Aata hai roz-o-shab koi
Hum se rootha hai be-sababkoi

Lab-e-jo chaon main darakhton ki
 Wo mulaaqaat thi Ajab koi

Jab tujhe pehli baar dekha tha
wo bhee tha mausam-e-tarb koi

kuch khabar le kar teri mehfil se
Door betha hai jaan-e-balab koi

Na gham-e-zindagi Na dard-e-firaaq
Din mein yunhi si hai talab koi

Yaad Aati hai door ki baatain 
ptaar se dekhta hai jab koi

chout khaayi hai baar-haa laikin
Aaj tou dard hai ajab koi

Jin ko mitna tha mit chukay zahid
Un ko Ruswa karay na ab koi.!

Arzz sirf itna hai dosti ke baarey main,

Arzz sirf itna hai dosti ke baarey mein..
Aadmi galat sumjha Aadmi ke baarey main...

Wo shaks me mein jis se mohabbat nahee karta..

Wo shaks ke main jis se mohabbat nahee karta
hansta hai mujhe dekh ke, nafrat nahee karta

Ghar waalon ko Ghalfat pe sabhi kous rahay hain
Chooron ko magar koi malaalmat nahee karta

detay hain ujaalay mere sajdon ki gawaahi
main chup ke Andheron main ibaadat nahee karta

Bhoola Nahee Aaj bhee Mein Aabaab-e-jawaani
Main Aaj bhee Auron ko naseehat nahee karta

Duniya main Qateel ossa munaafiq nahee koi
jo zulm tou sehta hai Baghaawat nahee karta

Samajh mai kuch nahin ata Mohabbat kis ko kehte hain

Samajh mai kuch nahin ata Mohabbat kisko kehte hain,
Nagar itna samajhti hun ke dil mai dard hota hai..

Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta..

Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta,
Ye dard us ne diya hai usi se kiya kehta..

Gila to mujh ko bhi kerna tha piyaas ka lekin,
jo khud hi sookh gayi us nadi se kiya kehta..

Mere apnay hi mujh ko samajh na paye kabhi,
Me aapna haal kisi ajnabi se kiya kehta..

Andheri raat ne mujhko bohat sataya hai,
Bhala ye baat main ab roshni se kiya kehta..

tamaam shehr me jhoot ka raaj tha shayed,
Main apne ghum ki haqeeqat kisi se kiya kehta....!

Tareekh hazaron saal mein bas itni si badli hai

Tareekh hazaron saal mein bas itni si badli hai.
Tab dour tha pathar ka ab log hain pathar ke..!

Tanhayi Ke Aatishdaan Main

Tanhayi Ke Aatishdaan Main
Mein Lakri ki Tarah Jalta Tha

Tere saath Tere Hamraahi
Mere Saath Mera Rasta Tha...!

Ankh roney ki shiddat se laal thorhi hai??

Ye aankh roney ki shiddat se laal thorhi hai?
Malal hai magar itni malal thorhi hai

Bus apne wastey hi fikr-mand hain sab log..
Yahan kisi ko kisi ka khayal thorhi hai?

Paron ko kaat dia hai urhan se pehle..
Ye khof-e-hijr hai, shoq-e-wisal thorhi hai?

Maza to jab hai k haar k bhi hanstey raho..
Hamaisha jeet hi jana kamal thorhi hai?

Lagani parhti hai duki ubharney se pehle..
Gharoob honey ka matlab zawal thorhi hai??

Wo saamnay tha magar ye yaqeen na aata tha

Wo saamnay tha magar ye yaqeen na aata tha,
Wo aap hai ke meri khwaahishon ka saaya hai...!

Maangay Hai Mujhse Dil Teri Saari Nishaanian

Maangay Hai Mujhse dil tari saari nishaanian
Baatain puraanian wohi raatain suhaanian

un per tou farz hain mere harfon ke zaaiqay
Ab jin ko aagayein badi baatain bananian

Ay ishq aa phr se koi tajurva karain
Main bhoolnay laga hub puraani kahanian

Wo tere qehqahay thay ke jaisay hujoom main
tootain kalaion main khanakti kamaanian

Yemere ashq hain ke paharon main jis tarah
Royein basant rut main nadi ki rawaanian

Maango dua ke khelti khilti rahain sadaa
Sheheron ki dulhanain meri basti ki raanian

Zahid ko kuch tou had-e-sitam ka suraagh de
Kab Tak raqam karuun main teri meherbaanian