Showing posts with label Ghazal Shayari. Show all posts
Showing posts with label Ghazal Shayari. Show all posts

Thursday, November 19, 2015

Pehle Se Behtar Dekhta Hun

Kesi ny dhol kiya ankhon main jonki 
Main ab pehle se behtar dekhta hun 

Hum Donoun Hi Darty Hain

Hum donoun hi darty hain ek dosry se baat karny se 
Mujhy mohabbat ho gai hai is liye aur usy mohabbat na ho jaye is liye 

Wednesday, November 11, 2015

Shakayat-E-Mohabbat

Shikway bhi hazaron they ur gilay bhi hazaron thay
Hum to usi k thay magr ek wo na humare thay 

Kaha hum ne kesi ur kay hone lagy ho ap 
Muskuraty howy bhole kay pehle kab tumharey thay

Zindagi k mor pay tanha shor gya wo mujhay 
Koi ja kar kahe hum jetay e usi k saharay thay 

Ye pal hai buray mujh pay koi bat nahi 
Kch pal un k sath ache bhi to guzare thay 


Thursday, September 12, 2013

Apni Shayari Main Tera Zikar Bar Bar Karengay

Apni shayari main tera zikar bar bar karengay
Teri chahat main na kabhi inkar karengay

Ab bhi na ao ghay tum apnon kay wadun ki tarah
Phr bhi tere anay ka intzar karengay

Monday, September 09, 2013

Tum Aao Kabhi Dastak To Do Dar e Dil Per

Tum aao kabi dastak to do dar e dil per
Pyaar pehle se kamm ho to saza mout de dena

Saturday, August 31, 2013

Tuesday, July 09, 2013

Sobah Ki Haseen Lamho Mein

Sobah Ki Haseen Lamho Mein
Hum Yaad Tumhi Ko Karty Hian

Kabhi Rotay Hain Kabhi  Hastay Hain
Hum Khud Se Batein Karty Hai

Soraj Ki Khilti KirnoMein
Talash Chehra Tera Hum Karty Hai

Dhalty Suraj Ki Kirno Se
Hum Teri Batein Karty Hai

Yeh Dunia Waly Kuch B Bolein
Hum Pyaar Tujhi se Karty Hain

Thursday, July 04, 2013

Hal-e-Dil Na Sunana Kesi Ko Wasi

Hal e dil na sunana kesi ko Wasi
Dunya main sab humraz badal jate hain

Kesi k bechrne se koi mar to nahi jata 
Bas jene k andaz badal jate hain 

Friday, June 21, 2013

Tum Taqulf Ko B Khalos Sumjhte Ho

Tum Taqulf Ko B Khalos Sumjhte Ho
~Faraz~
Hur Hath Milane Wala Dost Nahi Hota 

Wo Baat Baat Pay Mujh Ko Azmati Rahi

Wo Baat Baat pay Mujh Ko Azmati Rahi
Misley Shama Ki Mand Mujh Ko Jalati Rahi

Ungli Pakr Ker Akser Raato Main 
Chalte Chalte Yunhi Mujh Ko Girati Rahi 

Ouz K Charte Souraj Ki Tara 
Wo Dost B Naye Naye Badlti Rahi 

Dost B Kaha Mujh Ko Magar 
Lakin Dushmano Ki Tara Tarpati Rahi 

Ye B Bhala Kiya Dosti Hoi
Main Rota Raha Wo Muskurati Rahi :(

Tuesday, January 01, 2013

Yaad Aaonga

Tum meri aankh ke tevvar na bhula paaonge 
An kahi baat ko samjhoge to yaad aaonga 

Humne khushiyon ki tarah dukh bhi ikhatey dukhe 
Safaah-e-zisst ko paltoge to yaad aaongaa 

Issi andaz main hotey the mukhatib mujhe se 
Khat kisi aur ko likho ge to yaad aaonga 

Sard raaton ke mehakte huwe sanaaton mein 
Jab phool ko choomoge to yaad aaongaa 

Ab teray ashk mein honton se chura leta hoon 
Haath se khud inhain ponchoge to yaad aaongaa 

Nahi Ye Kaam Akal Walon Ka

Nahi ye kaam akal walon ka 
Pyaar kar lain to sochna kya hai 

Tujhe dekha to ishq ker bethay 
nahi dekha bhala bura kya hai 

Bina teray main laash jesi hon 
mai nahi jaanti kaza kya hai 

Tujhe dekhain to jan lain gy sb 
pyaar kya hota hai wafa kya hai 

Meri Tamana Na Kya Kar

Uljhay huay haalaat ka shikwa na kiya kar 
Khairaat mein khushiyon ki tamanna na kiya kar 

So baar kaha itni mohabbat nahi achi 
So baar kaha itna bharosa na kiya kar 

Haalaat hamain aik kabhi honay nahi dengay 
Ae dost meray meri tamanna na kiya kar 

Kiya janay ye kis mor pay lay jay zamana 
Tu mujh ko kisi pal bhi elehda na kiya kar 

Mumkin ha kisi roz bichar jaon achanak 
Tu mujh say pyar itna ziada na kiya kar 

Piyaar Kartay Hain

Mohabbat thaher jaati hai 
Hum aksar yeh samajhtey hain 
Jisay hum piyaar kartay hain 
Usay hum bhool baithay hain 
Magar aisa nahi hota 
Mohabbat daimi such hai 
Mohabbat thair jaati hai 
Hamari baat kay andar 
Mohabbat baith jaati hai 
Hamari zaat kay andar 
magar yeh kam nahin hoti 
Kisi bhi dukh ki soorat main 
Kabhi koi zaroorat mein 
Kabhi anjaan se gham mein 
Kabhi lehjay ki thandak mein 
Udaasi ki zaroorat main 
Kabhi baarish ki soorat mein 
Hamari ankh kay anadr
Kabi aab-e-rawan ban kar 
Kabhi qatray ki soorat mein 
Bazahir aisa lagta hai 
Usay hum bhool baithay hain 
Magar aisa nahin hota 
Magar aisa nahi hota 
Yeh hargiz kam nahin hoti 
Mohabbat thair jaati hai 

Tum Mere Ho

Woh jab bhi mujh se milti thi 
Har bar masomiyat se mujhe se 
Pucha karti thi 
K Tum mere hi ho na 
Aur main har bar us ko chehre ko 
Apne haathon se cho kar qasam khaya karta tha 
Per kash maine ek bar us sy pocha liya hota 
K tum meri hi ho na 

Kaisy Yaqeen Aey

Mujhy kaisy yaqeen aey 
Mohabbat tum ne bhi ki hai 

Tumhain jab bhi dekha 
Sada khush bash hi paya 

Hamesha hansty rahty ho 
Kabhi rotay nahi paya 

Kabhi gahmgeen nahi dekha 
Hamesha mast rehty ho 

Mohabbat krny waloon pr 
Kabhi masti nahi chati 

Kabhi ronaq nahi ati 
Na wo sarsabz hoty hain 

Mohabbat krny waly dil
Hamesha Zard hoty hain 

To phir kesy yaqeen kar lun 
Mohabbat tum ne bhi ki hy 

Aaina Pathar Pe Ja Gira

Thokar lagi to apne muqaddar pe ja gira 
Phir yu huwa k aiana pathar pe ja gira 

Ehsaas-e-farz jab bhi huwa neend aa gayi 
Chalna tha pul-saraat pe bister pe ja gira 

Baazi mohabbaton ki jahaalat ne jeet li 
WO ban gaya khateeb jo mimber pe ja gira 

Khushbu qasoor waar nahi is ko chor do 
main phool torte huwe kanton pe ja gira 

Sahraaon me liye phira paani ki justaju jaana 
Jab piyas mar gayi to samundar main jaa gira 

Wo Shaks Aisa Gaya

Kopi lamha bhi kabhi laut kar nahi aya 
Woh shaks aisa gaya phir nazar nahi aaya 

Wafa ke dasth mein raasta nahi mila 
Siwaye gard-e-safar humsafar nahi aya 

Kisi chiraag ne poochi nahi khabar meri 
Koi bhi phool mere naam per nahi aya 

Pallat kar aane lagay shaam ke parinday Bhi 
Hamara subha ka bhola magar nahi aya 

Humain yakeen hai Zahid woh wada khilaaf 
Yeh umer kaise kategi agar nahi aya 

Jo Guzar Geya So Guzar Geya

Hama waqt ranj-o-malaal kia jo guzar gaya so guzar gia 
Usay yaad kar kay na dil dukha jo guzar gia so guzar gia 

Na gila kia na khafa howy youn hi raasty main jda howy 
Na tu be wafa na main be wafa jo guzar gia so guzar gia 

Woh ghazal ki ak kitaab tha wo gulo'n main ak gulaab tha 
zara dair ka koi khawaab tha jo guzar gia so guzar gia 

Mujhey path jharon  ki kahaniyan na suna kar udaas kar 
Tu kheezan ka phool hay muskura jo guzar gia so guzar gia 

Wo udaas dhoop samait kar kahin wadiyon main utar chuka 
Uay ub na dey meray dil sada jo guzar gia so guzar gia 

Yeh safar bhikitna taweel hay yahan waqt kitna qaleel hay 
Kaha lout kar koi aaye ga jo guzar gia so guzar gia 

Wo wafaen thein keh jafaein thein yeh na soch kis ki kahatein thi
Wo tera hay us ko galay laga jo guzar gia so guzar gia 

Tujhe ateybar-o-yaqeen nahi nahin duniya itni buri nahi 
Na malaal kar meray saath aa jo guzar gia so guzar gia 

Jab Ishq TUmhe Ho Jaye Ga

Mere jaise ban jao gay, ishq tumhein ho jaye ga 
Diwaron se takrao gay jab ishq tumhein ho jaye ga 

tanhai k jhoolay jhoolo gay har baat purani bhoolo gey 
Aainey se ghabrao gay jab ishq tumhein ho jaye ga 

Jab sooraj bhi so jaye ga aur chand kahin kho jaye ga 
Tum bhi ghar dair se aao gey jab ishq tumhain ho jaye ga 

Bechainiyan jab bhar jayeingi aur yaad kisi ki aye gi 
Tum meri ghazalein gao gay jab ishq tumhein ho jaye ga