Showing posts with label Gham Shayari. Show all posts
Showing posts with label Gham Shayari. Show all posts

Saturday, November 21, 2015

Manzil-E-Ishq

Kabhi muqadar ka matam kabhi dunya ka ghila 
Manzil-e-ishq main hur gham py rona aya 

Wednesday, October 24, 2012

Har Aik Darakhtt Hai Jharrna Meri Jaan...

Har aik darakhtt hai jharrna meri jaan, 
Issey kehte hain ujarrna meri jaan, 

Kesa lagta hai sawarney ke liye 
Baaz aukaat bigarrna meri jaan, 

Teri aamad ka pata deta hai 
Saans ka aese ukharna meri jaan 

Roshini apni jagha ghairti hai, 
Tum hawaaon se na larrna meri jaan, 

Hum nahin hon ge to peyshaani koi, 
Kissi pathar pe ragarna meri jaan,

Tere milne se khulaa hai mujh per
Kitna mushkil hai bicharna meri jaan

Asmaan khaak huye hain pal main, 
Kya zameenon pe akharna meri jaan

Monday, October 22, 2012

Maine Khud Ko Kho Diya Hai

Tu hi bata kaha se dhund kar laon ab apne aap ko 
Tujh pany k liye ne khud ko kho deya hai...

Agar Wo Pooch Lein Hamse

Agar wo pooch lein humse, tumhein kis baat ka gham hai..
To phr kis baat ka gham hai,agar wo pooch lein humse

Jub Itni Khushiyaan Mil Jayen

Jub itni khushyaan mil jayen ke samajh na aye kia mangun...
Phir apni duaon mein mujhe tum yaad karlena...

Na Gai Teri Adat Wo Satane Ki

Na gai teri adat wo satane ki,
Zindagi jabr-e-musalsal ki tarha kaat raha hun 

Kisi Se Mohabbat Na Karna

Bare shok se pilaatey hai yeh zehar ka peyala 
Ager jeena hai to kisi se muhabbat na kerna 

Mujh Main Kya Hai Jo Koi Yaad Kare

Mujh main kya hai jo mujhe yaad karey ga koi 
Achey achon ko yahaan log bhool jatey 

Sunday, October 21, 2012

Itna To Nazar Andaz Na Kar

Ehsas na kar in jazbon ka, nazron se gira be-shak lekin,
Jeena bhi mujhy dushwar lagy, itna to nazar andaz na kar..

Jane Kis Shakhs Ne Chaha Tha

Meri har mangi hui dua bekar gayi toqeer
Jane kis shaksh ne chaha tha usey itni shidat k sath 

Abhi Tak Mojood Hein Is Dil Mein

Abhi tak majood hein es dil mein tery qadmoon k nishan
Tumhary baad es raah sy kisi aur ko guzarnay nahi diya 

Na Koi Geet Baki Hay Na Koi Saaz Baki Hayi

Khayalon main faqat ek sholah e awaaz baki hay 
Na koi geet baki hay na koi saaz baki hai 

Sab apney bheyd ham nay faash kar daalay zamanay par
Magar jo tuj sey kehna tha wohi ek raaz baki hai 

Khudaawand hamien phir sey nai ek zindagi dey dey 
Bareeda par hain lekin hasraat e parwaaz baki hai 

Nazar main raat k pichlay pehar jesi khamoshe hay 
Magar dil k dharakne ka wohi andaaz baaki hai 

Qateel is ehd-bey-maani main lafzon ka hay yeh aalam
Ke maani ho gaye rukhst faqat awaaz baki hai 

Akaila Raat Bhar Tarpa

Akaila raat bhar tarpa mareez e shaam e gham saqi
Na tum aaye na neend aai na chain aya na moat aai...

Na Dil Acha Hai, Na Hal Acha Hai

Na din acha hai, na hal acha hai, 
Kisi jogi ny kaha tha k ye saal acha hai 

Mainy pocha wo kab chahy ga mujy meri tarha,
Bs mukura k keh diya sawal acha hai.....

Tujh Ko Teri Nazroun Main Hi Gira Doun Mai

Youn hi sochta hoon main aksar 
Tujhey kis tarhaan saza doun main 

Teri arzoo karun aur phr
Tera khayal tak bhulla doun main 

Tujh ko khuwaboun main apney bula kar 
Apni raatein sabhi jala doun main 

Teri manzil ko guloun sey saja kar 
Rah main kaantey bicha doun main 

Tu jo chahey ussey main pa loun 
Tu jo paa ley ussey mita doun main 

Ya tujhey iss tarhaan sey chahoun key 
Tujhe ko teri nazroun main hi gira doun main 

Hazaron Gham De Gaya

Wo kitna mehrban tha k hazaron ghum de gaya mohsin...
Hum kitne khud gharz nikle kuch na de sake muhabbat k siva..

Teri Yaad Me Zara Ankhe Bhigo Lu

Teri yaad me zara aankhe bhigo lu
Udas raat tanhai me so lu.

Akele ghum ka bojh ab sambhlta nahi.
Agar tu mil haye to tujse lipat kar ro lu

Mere Hamsafar Abhi Soch Lay

Mujhay yaad koi dua nahi, meray humsafar abhi soach lay 
Tu meri jabeem pay likha nahi,meray hum safar abhi soach lay 

Abhi rasta bhi hai dhool main,abhi faida bhi hai bhool main
Abi mujh ko tujh say gila nahi, meray hum safar abhi soach lay 

Kuch Apne Lub o Lehje Ko Tabdeel Wo Karta

Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta
Phir hum se bayan ranj ki tafseel wo karta

Yak tarfa takazay to nibae nahi jate
Kuch apne faraaiz ki bhi tameel wo karta,

Ilzamm lagta wo bare sho se par,
Kch apne kiye wadoon ki takmeel wo karta,

Kuch us ko bi ehsas to hota tanhai ka,
Kuch khuwab mere khud me tabdeel wo karta...

Badla Hai Magar Bahes Gham e Ishiq To ne

Badla hai magar bahes gham e ishiq ka to ne,
Bus aa gham e doran tuje pehchan gae hum.