Showing posts with label Four lines poetry. Show all posts
Showing posts with label Four lines poetry. Show all posts

Friday, June 21, 2013

Banjare Hain Rishto Ki Tajart Nahi Karte

Banjare Hain Rishto Ki Tajart Nahi Karte
Hum Log Dekhawy Ki Mohabbat Nahi Karte

Jetna Hai To Aa Dekh medan Main 
Hum Apne Hi Qabeeley Se Bagawat Nahi Karte 

Friday, October 05, 2012

Tum Haqeeqat Nai

Tum haqeeqat nahi ho hasrat ho 
Jo miley khawab main wohi dolat ho 

Kiss liye dekhti ho aaina
Tum to khud se b zeyada khubsurat ho 

Wafa Ki Jung

Wafa ki jung mat larna ye baykaar jati hai
Zamana jeet jata hai mohabbat haar jaati hai 

Humara tazkira chourou hum aisy loog hai jin ko 
Zamana kuch nahi kehta judai maar jati hai 

Har Eik Chehre Pe

Har eik chehre pe guman uska tha 
Basa na koi dil me ye khali makan uska tha 

Tamam dukh mere dil se mit gaye lakin
Jo na mit saka wo 1 naam uska tha.

Aik Pal Ka Ehsas

Aik pal ka ehsas bankar ate ho tum 
Dosre hi pal khuwab bankar ur jate ho tum 

Janty ho k lagta hai dar tanhaiyo se 
Phr be bar bar tanha chor jate ho tum 

Main Kabhi Kabhi

Main uske chehre ko dil utar deti hoon,
Main kabhi kabhi to khud ko bhi mar deti hoon,
Ye mera haq hai ke main usko thora dukh b doon,
Main chahat bhi to use beshumar deti hoon
Khafaa woh reh nahin sakta lamha bhar bhi,
Main bohat pehle hi us ko pukaar leti hoon
Mujhe siwa uske koi bhi kaam nahin soojhta,
Woh jo bhi karta hai, mein sab hisaab leti hoon.
Woh sabhi naaz uthaata hai mein jo bhi kehti hoon,
Woh jo bhi kehta hai, mein chupke se maan leti hoon 

Ishq Ne Hame Benam Kardiya

Ishq ne hame benam kar diya 
Har khushi se anjan kar diya

Hamne kabhi nahi chaha k hume ishq ho 
Par unki ek nazar ne hume nilam kar diya 

To Hi Mil Jai Mujhy Bas

To hi mil jai mujhy bas itna hi kafi hai 
Meri har sans ny bas yeh hi dowa mangi hai 

Jany kiyon dil khincha chala jata hai teri taraf
Kiya to ny bhi mujhy pany ki dowa mangi hai 

Na Koi Jane Mujhe

Na koi jaane mujhe na main kisi ko jaanu 
Meri pehchaan ko ab tum mita do 

Main ab reh nahi sakti use juda hokar
Mujhe qatl kar do ya marwa do .....

Bewafa Ki Yaado Ko

Bewafai oski mita ky aya hun 
Khat osky paani me baha kr aya houn 

Koi parh na ly os bewafa ki yaado ko 
Is liye paani me bi aag laga kr aya hun 

Nazar Lagi Zamane Ki

Naa jaane kyn nazar lagi zamane ki 
Ab wajah milti nahi muskurane ki 

Tumhara gussa hona to jayaz tha,
Humari adat chut gayi manane ki,

Mohabbat Ka Tamasha

Khatam tha ha pe mohabbat ka tamasha goya
Rooh aur jism ko har roz juda kartay rahay

Zindagi ham se tere naaz na uthaye gaye 
Saans lainay ki faqat rasm ada kartay rahay 

Allah Bachaye Marz-e-ishq Se

Allah bachayai-e-ishq se dil ko 
Suntai hai kai yai aarza acha nahi hota 

Hum ah bhi kartai hai tou ho jatai hai badnaam
Wo qatal bhi kartai hai tou charcha nahi hota 

Thursday, October 04, 2012

Raat Chup Thi Magar

Rat chup the magar khamush na thi 
Ankhein the khuly magar hosh na thi 
Band tha dil magar mot na thi 
Sab kuch tha magar be-loss na tha 

Ab K Ishq Ne Aisi Meri Halat Kar Dee

Ab k ishq ne aisi meri halat kar dee
Aine ne bhi inkaareye soorat kar dee

Oss ki rukhsat pe junoon aisa utha
Hum ne shehar bhar ki ankhon me wehshat bhar dee 

Hath Se Hath Churaney Lage Ho

Hath se hath churaney lage ho 
Mujhko pathar ka banane lage ho 

Zara thehro mein yakeen tou karloon
Tum mujhe chor ke janey lage ho 

Tere Baghair Is Zindagi Ki Hume Zarurat Nahi

Tere baghair is zindagi ko hume zarurat nahi
Tere siwa hume kisi or ki chahat nahi,

Tum he rahoge humesha mere dil mai,
Kisi or ko is dil mai ane ki ejazat nahi 

Be Khaloos Logoon Se Ijtenab Karna Hai

Be-khaloos logoon se 
Ijtenab karna hai 
Mujh ko apnay rishtoon ka 
Ehtasab karna hai,

Tum ko bhool jana hai 
Tum ko yaad rakhna hai 
Dukh tu eik jaisa hai 
Intakhab karna hai 

Humara Dil Dukhana Chahiye Tha

Wafa ko aazamana chahiye tha humara dil dukhana chahiye tha 
Aana na aana meri marzi hai tumko to bulana chahiye tha

Humari khwaahish ek ghar ki thi use sara zamaana chahiye tha 
Meri ankhein kaha nam hui thi samundar ko bahana chahiye tha 

Jeena Chaha Magar Jee Na Sake Tere Bin

Jeena chaha magar jee na sake tere bina
Char daman hum se na sake tere bina

Tune mujhe bhool kar nai duniya basa li 
Hum to muskura bhi na sake tere bina