Showing posts with label Dosti/friendship Shayari. Show all posts
Showing posts with label Dosti/friendship Shayari. Show all posts

Thursday, November 19, 2015

Pakr K Hath

Pakr k hath us ny hath main ghar se nikala hai 
Pakr k hath jis ko hath main chalna sekhaya tha 

Thursday, June 27, 2013

Tum Ye Mat Sumjhna Ke

Tum Ye Mat Sumjhna Ke Humein Koi Nahi Chahta
 Ay Dost
Tum Shor Do Ge To Mout Apna Le Gi Hum Ko

Tuesday, June 25, 2013

Dosto Ek Mashwra Chahiye Tha

Dosto Ek Mashwra Chahye Tha
Dil Tora Hai Ek Bewafa Ne 
Ab Jan Doun Ya Jane Do 

Thursday, September 13, 2012

Dosti Ka Daawa Kerny

Dosti ka daawa kerny
Wale hum ny dekhey hyn

Jinhai'n hum azeez
You hyn magar apni
Masroofiat k baad

Main Muntazir Hoon Barish Ka

Main muntazir hoon barish ka ,fasl-e-bahar say pehlay
Main muntazir hoon phoolon ka,rahon main khaar say pehlay
Haan us k wastay sooli, pe char gaya tha main laikin
Maktal main san utha paya, koi na yaar say pehlay

Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai

Dosti pehli baarish ki boondo mein hai
Dosti khilte phool ki khushbu mein hai

Dosti ugte suraj ki kirno mein hai
Dosti har naye rishte ki umeed hai

Dosti khwaab hai, dosti jeet hai
Dosti pyaar hai , dosti geet hai

Dosti sang chalti hawaaon mein hai
Dosti in barasti ghataaon mein hai

Dosti doston kiwafaaon mein hai
Haat utha kar jo maange hai dua

Dosti ka asar in duaaon mein hai
Dosti pehli baarish ki boondo mein hai

Youn Dosti K Naam Ko Ruswaa Na Kijiye

Youn dosti k naam ko ruswaa na kijiye
Tark-e-ta'alluqaat ka charcha na kijiye

Jurm-o-sitam ka paas bhi ulfat mein shart hai
Palkon ko aansoun se bhigoya na kijiy

Aisaa na ho umeed se rishta hi toot jaaye
Har roz mujhse vaada-e-fardaa na kijiye

Hamdard jis ko apna samajhte rahe hain aap
Us ka hi zindagi mein bharosa na kijiye

Guzray Ghee Zindaagi Aay Dost

Taray baghair na guzray ghee zindagi aay dost
Main kya karoon gha zamaney ki dostee laiker

Dosti Ka Haq Hum Youn Ada Kartay Hain

Dosti ka haq hum youn ada kartey hain
Dosti ke naam per jan fida kartay hain
Tumhay phool ka zakhaam bhi na anay pae
Allah say roz yeh dua kartay hain

Zindagi Har Pal Khas Nahi Hoti

Zindagi har pal khas nahi hoti
Phuloon k khusbu hamesha pass nahi hoti
Milna hamare taqdeer me likha tha
Warna itni payari dosti hamare itefaq nahi hoti

Dosti Nibhayenge

Wada karte hain dosti nibhayenge
Koshish yahi rahegi tujhe na satyaenge
Zarurat pade toh dil se pukarana
Mar bhi rahe honge to mohlat lekar aayenge

Koi Khaas Nahi

Koi tum say poochay kon hoon main
Tum keh dena koi khaas nahi
Ek dost hay k acha paka sa
Ek jhooth hay aadha sacha sa
Jazbaat ko dhanpay ek parda
Bus ek bahana acha sa
Jeevan ka aisa sathi hay
Jo door nah ho k pass nahi
Koi tum say poochay kon hoon main
Tum keh dena koi khas nahi

Do Pyase DiL Eik Huwe Hain Aise

Do pyase eik huwe hain aise
Bichare ge ab kaise

Tum pyaar mujhye karte hi rahna
Sari umar tum aise

Eik douje main kho jate hain
Nadiya sagar jaise

Tuj se hay yeh zindagi
Tuj se hay jiwan kahani
Tuj se hay sanj aur sawera

Sathi kabhi tu na ruthe
Rasmon ki diwaar tutye
Tutye na bahoon ka ghira
Mere sanam teri kasam
Tuj se hay wahda yeh mera
Aise raheen ge
Nain aur nindea jaise

Qasmon tale har khushi hay
Kitni haseen zindagi hay
jiwan yunhi beet jaye

Ankhon k tu roeberoe hay
Dekhon jidhar tu hi tu hay
Tuj bin nazar kuch na aye
Hay zindagi humain kabhi
Zaman judaa kar na paye
Aise raheen ge
Phool aur khushbo jaise

Kabhi Dosto Se

Zindagi mein baatein bahut kar liye
Sun liye hai zawab bhi? kabhi dosto se, kabhi dushmano se,
Lavso ke is bhair mein ghutan si hoti hai ab to
Mujhe sannata chahiye?
is liye khamoshi se dosti kar liye
Baaton ki tanashahi bardasht karne ki taaqat na rahi
Viraane mein sar chupane ki jagah chahiye
Alfaazon ki koi matlab hi nahi milta
Isliye khamoshi se dosti kar liye
Rahegi tamannaye,tamannaye to rahti hai
Par halaat yeh hai ki ab saare hosh o hawas kho chuke
Is bedardi ko kab tak jhel sakti hai yeh dil dimaag
Armaano se tang aa chuke hai hum bhi
Isliye khamoshi se dosti kar liye
Musquraahaton se roshan hoti rahegi yeh duniya
Mujhe roshniyon se dar lagne laga hai
Mujhe andera chahiye
Isliye khamoshi se dosti kar liye

Rutho Na Aa Dost

Rutho na aa dost k fir
Roth jany waly maan b jaien tu
manany waly thak sy jaty hyn
aur hamary sath zindagi k saffer mein
Chalny k qabil nahi rehty
Khafa na ho aa sathi k fir
Khafagion k mosum dyr tak nahi telty
Dil-o-jaan mein ruh k ander bohat hi
Bohat hi door ja ker basyra kerty hyn
naraz na ho a hamdam k fir
narazgi kadurraton ko janm dyti hy
kadurratien dil ki fir nahi jatien
aur
Zindagi ki shaffaf rahein dhundli-o-gurd aalood ho jati hyn
So myry dost myry sathi myry hamdam
Mujhy aatbar ka maan do

Tuesday, September 11, 2012

Bari DIl Nashen Hay Yeh Adat Tumhari

Mili har qadam per rafaqat tumhari
Kahan hum kahan yeh inayat tumhari

Humay chahiya bus ta'aluq tumhara
Mohabbat milay yah adawat tumhari

Kisi say bhe milna usay jeet laina
Bari dil nasheen hay yeh adat tumhari

Na dekha jaha main koi aur tum sa
Bari manfarid tabiyat tumhari

Humhay zindagi kay kaein rastoon par
Hamesha rahay ge zaroorat tumhari

Usay Itna Na Chaha Kar

Zara tham tham k barsa kar
Abhi itna na rotha kar

Abhi to dur hai manzil
Abhi khud ko na tanha kar

Teri ankhen smandar hain
Samandar ko na sehra kar

Mera dil doob jata hai
mujhe ase na dekh kar

Hawa mujh se kahe pagal
Na yun raston me betha kar

Wo eik din chor jaye ga
Usay itna na chaha kar

Abhi To Jaan Baaqi Hai

Ye kis ny keh diya tum sy k bazi haar bethy hum

Ay Dost

Mohabbat mein luttanay ko abhi to jaan baqi he

Dosti Ki Tarap

Dosti ki tarap ko dikhaya nahi jaata
Dil me lagi aag ko bujhaya nahi jaata,

Kitni bhi buri ho dosti me
Aap jaise dost ko bhulaya nahi jaata

Ik Dost Bohat Yaad Aya

Aj rootha huwa ik dost bohat yaad aya
Acha guzra huwa kuch waqt bohat yaad aaya .
Meri ankho k her ik askh pe ronay wala
Aaj jab ankh yeh roee tu bohat yaar aya
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
Aj jab dard huwa mujh ko bohat yaad aaya
Jo meri ankh main kajal ki tara rehta tha
Aaj kajal jo lagaya tu bohat yaad aaya
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
Aj jab dil nay bulaya to bohat yaad aya