Showing posts with label Designed Shayari. Show all posts
Showing posts with label Designed Shayari. Show all posts

Monday, September 10, 2012

Har Mor Pe Mil Jayen Gi Laashain

Niklo ge to har mor pe mil jayen gi laashain
Dhoondho ge to is sheher mein kaatil na mile ga

Talkhiyon Ne Cheen Li Sharaartain Meri

Zindagi ki talkhiyon ne cheen li sharaartain meri,
Aur log samajhte hain maghroor ho gaya hoon mein...

Aansu Bhi Meri Aankh Ke Ab Khushk Ho Gaye

Aansu bhi meri ankh ke ab khushk ho gaye,
Tu ne mere khuloos ki keemat bhi cheen li

Mein Usko Manaa Leta Tou Acha Tha

Wafaa ki laaj mein usko manaa leta tou acha tha
Anaa ki jang mein aksar judaai jeet jaati hai

Dua Hai Mohabbat Mujhe Woh Haasil Ho

Mer dua hai mohabbat mujhe woh haasil ho,
Usey jo khud se nikaloon to paas kuch na rahe

Ik Mein Hi Nahin Jurm-e-Mohabbat Ka Khataar'War

Ik mein hin nahin jurm-e-mohabbat ka khataar'war
Halka se tabasum bhi tou shamil tha udhar se...

Mar Do Jaan Se Koi Gham Nahin

Maar do jaan se koi gham nahin ,per yeh saza mat do,
Ke hamare saamne beth kar hum ko tum Ajnaabi se lago

Apni Gali Mein Apna Hi Ghar Dhoondte Hain

Apni gali mein apna hi ghar dhoondte hain log,
Zahid yeh kaun sheher ka naksha badal gaya ..

Kitna Mushkil Hai Mohabbat Ki Kahani Likhna

Kitna mushkil hai mohabbat ki kahani likhna,
Jese paani se paani per paani likhnaa

Ab To Shayed Hi Mujhse Mohabbat Kare Koi

Ab to shayed hi mujhse mohabbat kare koi,
Meri ankhon mein tum saaf nazar aate ho

Bare Sakoon Se Rukhsat To Kar Diya Us Ko

Bare sakoon se rukhsat kar diya us ko,
Phir us ke baad,Mohabbat ne inteha kardi

Is Khaak Ko Hidayat De Maula

Is Khaak Ko Hidaya De Maula
Uss Khaak Mein Milny Se Pehle

Imaam-e-Masjid Se Koi Puche

Hath bandey khare hain sab,Gum khayalon mein apne apne,
Imaam-e-Masjid se koi Puche,Nimaaz kis ko parha raha hai

Ishq Ko Bhi Ishq Ho To Phir Mein Dekhoon

Ishq ko bhi ishq ho phir mein dekhoon ishq ko,
Kese terrpe, kese roye,ishq apne ishq mein

Sunday, September 09, 2012

Tafseel Se Kese Sunayain Yeh Qissa Mohabbat Ka

Tafseel se kese sunayain yeh qissa mohabbat ka,
Ke tum masroof ho ab tak humain barbaad karne mein

Ghareeb Maan Apne Bachon Ko Bare Pyar Se

Ghareeb maan apne bachon ko bare pyar se youn manati hai
Phir bana lain ge naye kapre yeh eid to har saal ati hai

Eid Ke Chand Ne Bhi Andaz Tumhare Seekhe

Kitni mushkilon se falak per nazar aata hai
Eid ke chand ne bhi andaaz tumhare seekhe

Us Ko Mujh Se Bari Mohabbat Hai

Us ko mujh se bari mohabbat hai,
Khawab hota hi khoobsurat hai

Shayad Mujhe Se Kisi Ko Mohabbat Nahin Rahi

Mehsos Kar Raha Houn Main Jeney Ki Talkhyan
Shayad mujhe kesi se mohabbat nahi rahi

Tum Aao To Hum Bhi Eid Kararin

Hasrat hai tumhari deed kare
Tum aao to hum bhi eid karein