Showing posts with label Ansoo Shayari. Show all posts
Showing posts with label Ansoo Shayari. Show all posts

Friday, September 20, 2013

Jante Ho Mohabbat Kis Ko Kehte Hain

Jante ho mohabbat kis ko kehte hain 
Kisi ko sochna phir muskrana aur phri aansoo bahana

Tuesday, August 06, 2013

Mujhe Na Stao Itna Kay Main Roth Jaon Tum Say

Mujhe na stao itna kay main roth jaon tum se
Mujhe acha nahi lagta apni sansoo se juda hona

Howa Hai Tujh Se Becharnay Kay Bad Ab Maloum

Huwa hai tujh se micharnay kay bad ab maloum
Kay tun tha tere sath ek dunya thi

Saturday, July 20, 2013

Be Sabab To Na Thin Teri Yadein

Be Sabab To Na Thin Teri Yadein
Teri Yadon Se Kya Nahi Sekha

Zabt ka Hosla Barha Laina
Anson Ko Kahin Chupa Lena

Kaanpty Hothon Ki Sadaon Ko
Chup Ki Chadar Se Dhaanp Dena

Aur Be Sabab Kbi Kbi Hansna
Jab Ho Koi bat Tanhi Ki Mouz-e-Guftgo Badal Dena

Be Sabab To Nahi Teri Yadein
Teri Yadon Se Kya Nahi Seekha



Saturday, July 13, 2013

Main Aaj Bohat Udas Hun Koi Nahi

Main Aaj Bohat Udas Hun Koi Nahi
Jis Se Dil Ki Verani Bant Sakon Koi Nahi

Jo Mery Behtay Ansoon Ko Rook Saky Koi Nahi
Jo Eik Zara Harf-eTasali De Koi Nahi

Jo Muskara K Kahy Apni Hassas Ankhon Ko Takleef Na Do
Yeh Moti Mery Dil Pay Girty Hain Koi Nahi


Sunday, June 23, 2013

Dard Kitne Hain Bta Nahi Sakta

Dard Kitne Hain Bta Nahi Sakta 
Zakhm Kitne Hain Dekha Nahi Sakta 

Ankhon Se Sumjh Sako To Sumjh Lo
Anson Gire Hain Kitne Gina Nahi Sakta.

Wednesday, July 25, 2012

Meri Rooh Ki Haqeeqat Mere Aansu`on Se Poocho,,

Meri Rooh Ki Haqeeqat Mere Aansu`on Se Poocho,,

Mera Majlisi Tabassum Mera Tarjumaan Nahi Hai …


Tuesday, July 17, 2012

Eik Shakhs Tanha Rota Raha Hai

Eik shakhs tanha rota raha hai,
Apne aansuo ko palko pe parota raha hai,

Akeeda to tha usey pyaar k karishmo par
Phir bhi karne se darta raha hai

Chahat thi sada pas rakhne ki kisiko
Utna hi us se koi door jata raha hai

Hai umeed usey kisi k lout aney ki aaj bhi 
Isi gumaan me janey kab se jeeta raha hai 

Posheeda hai ik taweel si dastaa us me
Kon janey kisy chahta raha hai

So jo nahi pa raha pathar k bichoney pe
Yakeena kisi ki baaho me sota raha hai

Kasoor fakkat itna tha nadaa ka 
K gham duniya se chupata raha hai

Aaj tum kiska matam karte ho logo
Wo to janey kab se marta raha

Aansuo,n Se Bhar Gaya Daaman Mera

Aansuo,n se bhar gaya daaman mera
Haath tou maine uthaye thay dua kis ki thi

Na Wo Wafa Ki Dewi Hai

Na wo wafa ki dewi hai
Na hai wo bewafayi ki murti

Kash khud ko itna bedard na banaya hota
To shayad ushey rok pata

Kaheti thi mere pyaar ki umar ho itni sanam
Tere naam se suroo tere naam se khatam

Per naam ka fashla na badha hota itne
To sayad ushey rok pata

Khati thi baith mere paas tujhey dekhti rahooon
Kassh ushkey rooh me utar jata
to sayad ushey ro pata

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main

Ab aansuoon ko aankhon main sajaana hoga
Chiraagh bhuj gai khud ko jalaana hoga

Na samjhna k tumse bicharh k khush hain
Humain logon ki khaatir muskuraana hoga

Phir shaam dhal gai tum aaiee na aaj bhii
Dil ko aaj phir umeedoon se behlaan hoga

Lahoo se apne kafan pe tera naame likh jaounga
Thaam k haath main phool tumko aana hoga

Abhi se na kejiyai takeez-e-masroofiat k aap
Abhi utthna hai janaza kaanha to daina hoga

Muddaton kya hai tera intizaar aye sanam
Umar kat chuki ab to jaane hoga

Aansu Jo Beh Rahey Hein

Aansu jo bej rahey hein inhein behney do 
Yeh keh rahey hein dil ki baat ,kehney do
Buhat bewafa ho tum,yeh ham ko hai maloom
tum apni wafa ki baat,apney tak hi rehney do,
Mila to kia mila tumhein chahney kay baad bas dukh hi seh rahein hein
Hamein sehney do
Tum ney to keh dala sab hall-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do
Mar gaye auroon kay liye main
Tum apni khatir ham ko zinda rehney do

Dil Ne Kaha Aankh Se

Dil ne kaha ankh se, dekha karo kum
Kyun ki dekhte ho tum,aur tadpte hai hum

Us par ankh ne kaha dil de, socha karo kum
Kyunki sochte ho tum aur rte hai hum

Jhotay ilzaam

Jhotay ilzaam meri jan lagaya na karo
Dil hai nazuk issay tum dukhaya na karo

Meri ankho main jo achay nai lagtay ansoo
Tu tum yoon mughay jalaya na karo

Jab Jab Aap se Milne

Jab jab aap se milne ki umeed nazar aaye
Mere pairon mein zanjeer nazar aaye

Gir pade aanso aankhon se 
Aur har anso mein aapki tasweer nazar aayi

Neend Aankhon Main Nahin

Neend  ankhon main nahin,khawab kho gaye
Tanha hi the, kuch aur tere bin hum ho gaye

dil Kuch Tadap utha zuban bhi ladkhadai
Teri yaad main do aanso chupe se beh gaye

Roz Subha Khud Say

Roz subha khud say eik wada kartay hain
Tujhay is dil say bhulanay ka irada kartey hain

Apni he baat say mukkar jatay hain maloom nahi kyoun
Bheegti ankhon ko khuwab tornay ke liya amaadah kartey hain

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz

Mujhe apne zabt naaz tha, sare bazm raat ye kya hua
Meri ankh kaise chalak gayi mujhe ranj hai ye bura hua

Meri zindagi ke charagh ka ye andaaz koi nayaa nahin
Kabhi raushni ,kabhi teergi ,kabhi jalaa hua kabhi bujha hua

Mujhe raaste mein pada hua kisi badnaseeb ka khat mila
Kahin khoon-e-dil se likha hua,kahin aansuon se mita hua

Jo nazar bacha ke guzar gaye,mere saamne se abhi abhi
Ye mere sheher hi ke log the mere ghar se ghar mila hua

Mujhe humsafar bhi mila koi,to shikasta haal meri tarah
Kahin raaston ka lutaa hua kahin manzilon ka thaka hua

Mujh Ko Pagal Bana Gye Aanso

Mujh ko pagal bana gaye aanso
Jaane kiaa kia suna gaye aanso

Koi roya tha hichkion se bohut
Aur kisi ko hansaa gaye aanso

Bat kehne ki jab bhi koshishi ki
Lab khula the k aa gaye aanso

Thapkiaan jaise de raha ho koi
Bethe bethe sulaa gaye aansoo

Nanhe hatho ne thamna seekha
Maan ki aankhoon main aa gaye aanso

Waq Ki Raftar pe

Waqt ki raftar pe jhanjala kar ro pare
Kabhi use kho kar to kabhi use pa kar ro pare

Khushiya humarey naseeb main kab raas ayein hain
Bahir kabhi hasein to ghar aa kar ro pare